ek hi naghma kabhi soz kabhi saz mein hai

ek hi naghma kabhi soz kabhi saz mein hai
aisa eajaz faqat waqt ki aawaz mein hai

aashiqi raaz mein pahle thi na ab raaz mein hai
bazgasht us ki to har daur ki aawaz mein hai

jo azal mein tha wahi naghma yahan saz mein hai
sirf ye farq hai ab daur ki aawaz mein hai

ajnabiyyat tere lahje teri aawaz mein hai
aaj tu mujh se mukhatib ye kis andaz mein hai

itna ehsas hai jo kuchh hun tujhi se hun magar
khud main kya hun ye haqiqat to abhi raaz mein hai

phailna bhi mujhe aata hai simatna bhi mujhe
mere anjam ki takmil bhi aaghaz mein hai

yun to har ek ada husn ki dilkash hai magar
husn ki ruh nigah-e-ghalat-andaz mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close