duniya mein be-hijab meri zat bhi to ho

duniya mein be-hijab meri zat bhi to ho
ai ishq teri koi karamat bhi to ho

kuchh zer-e-ghaur surat-e-haalat bhi to ho
sarkar ehtiram-e-riwayat bhi to ho

tarikiyon ki khatm kabhi raat bhi to ho
ai kirdgar subh-e-mukafat bhi to ho

tu jaanta hai phir bhi hai iqrar-e-masiyat
sharminda-e-wajud meri zat bhi to ho

ye kya ki ahl-e-zohd hain aur bargah-e-naz
mahfil mein koi rind-e-kharabaat bhi to ho

mansur ke fasane ka kya zikr bar-bar
ye aashiqi mein koi nai baat bhi to ho

ab jalwa-gah dil dil ko bana le baja-e-tur
thodi bahut talafi-e-mafat bhi to ho

ye be-rukhi ye qahr ye tewar ye barhami
rudad-e-gham mein aisi koi baat bhi to ho

tu sham hi se fikr-e-sahar mein nidhaal hai
ai bad-nasib pahle basar raat bhi to ho

fitrat ne de ke garmi-e-dil chaal ye chali
insan ki ana ko kahin mat bhi to ho

rudad-e-gham jafa-e-falak dastan-e-hijr
sab kuchh kahenge un se mulaqat bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close