ek huk si jab dil mein utthi jazbaat hamare aa pahunche alfaz jo zehn mein mauzun the honton ke kinare aa pahunche haalat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake aansu jo hisar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche manjhdar mein the aur dar ye tha ki dub hi jaenge ab hum maujon mein jo lahrai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche hum josh-e-jawani mein aa kar ek la-mahdud safar mein the malum hua manzil ye na thi jab ghat kinare aa pahunche ek umr guzari thi hum ne mazlumon ki hi himayat mein jab gosha-nashini ki thani phir zulm ke mare aa pahunche bachpan mein bahut dukh hota tha mazlum ki aah-o-zari par hote hi jawan bahlane ko duniya ke nazare aa pahunche duniya ke hawadis ne itna pamal kiya hum ko 'jauhar' bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitare aa pahunche