kuchh nahin hota shab bhar sochon ka sarmaya hota hai hum ne sehn ke ek kone mein diya jalaya hota hai sham-e-tarab ke lamho is ko mat aawazen diya karo raat ne apne sar par gham ka bojh uthaya hota hai jalte hain to ped hi jalte hain suraj ki hiddat se phulon par to patton ki thandak ka saya hota hai main ne aaj talak na dekha pau phatne ka manzar tak jab bhi so kar uthta hun to baadal chhaya hota hai kis ne kaha hai diwaron par saya karta hai suraj diwaron par diwaron ka apna saya hota hai un logon se puchhe koi sher ka rutba aur shuur jin logon ne ghazal ko apna khun pilaya hota hai shahr ke log bhi shahr ke hangamon mein gum hote hi 'adim' basti walon ne bhi koi rog lagaya hota hai