ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte ek tum ho ki khwabon ko haqiqat nahin karte jao to magar aks koi chhod na jaana ab aaine akson ki hifazat nahin karte ab chand ka arman bhi sar-e-sham nahin hai aankhon ke jharoke bhi shikayat nahin karte hum dhup se narmi ki umiden hi rakhe jaen har-chand ki sae bhi murawwat nahin karte rahraw hain har ek ped se mil lete hain 'fakhir' saya nahin milta to shikayat nahin karte