ek hunar hai jo kar gaya hun main sab ke dil se utar gaya hun main kaise apni hansi ko zabt karun sun raha hun ki ghar gaya hun main kya bataun ki mar nahin pata jite-ji jab se mar gaya hun main ab hai bas apna samna dar-pesh har kisi se guzar gaya hun main wahi naz-o-ada wahi ghamze sar-ba-sar aap par gaya hun main ajab ilzam hun zamane ka ki yahan sab ke sar gaya hun main kabhi khud tak pahunch nahin paya jab ki wan umr bhar gaya hun main tum se jaanan mila hun jis din se be-tarah khud se dar gaya hun main ku-e-jaanan mein sog barpa hai ki achanak sudhar gaya hun main