wo ek shakhs ba-andaz-e-mahramana mila mila wo jab bhi hamein zat se juda na mila hamein bhi apni jabin ko jhukana aata tha magar talash thi jis ki wo naqsh-e-pa na mila kisi ke husn ka mazmun hum raqam karte so hasb-e-haal hamein aisa qafiya na mila wazahaten to mohabbat mein hum bhi karte magar kitab-e-dil ka hamein koi hashiya na mila use jafa ka jafa se jawab kya dete hamein mizaj mila bhi to dostana mila na tha sarisht mein aah-o-fughan ka rang koi isi liye to hamein nala-e-rasa na mila agar mile to use haal-e-dil hi kah dena phir us ke baad wo tum se mila mila na mila misal-e-mauj-e-rawan sab guzarte jate hain isi liye to hamein koi nakhuda na mila