ek imarat nai tamir hui jati hai shahr ki ek nai tafsir hui jati hai ai mere azm-e-safar khinch ki le ja mujh ko ek qasam panw ki zanjir hui jati hai khinchne aai hai ab maut mere daman ko aap ke khwab ki tabir hui jati hai had to ye hai ki meri zat ke andar bhi ab ja-ba-ja aap ki jagir hui jati hai main ne to khwab samundar ki hi pale the magar ye nadi kis liye tabir hui jati hai kya ghazab hai ki tere nam ki tohmat kab se be-sabab mere baghal-gir hui jati hai phul ke jism pe titli ka lahu hai 'fani' kya mere ahd ki taswir hui jati hai