ek ishaare mein badal jata hai maikhane ka nam chashm-e-saqi teri gardish se hai paimane ka nam pahle tha mauj-e-bahaaran dil ke lahrane ka nam maskan-e-barq-e-tapan hai ab to kashane ka nam aas jis ki ibtida thi yas jis ki intiha ai dil-e-nakaam kya ho aise afsane ka nam rang la kar hi raha aakhir mohabbat ka asar aaj to un ki zaban par bhi hai diwane ka nam aasman par barq gulshan mein saba dariya mein mauj jis jagah dekho naya hai zulf lahrane ka nam maut ho ya wo hon donon hain ilaj-e-dard-e-dil wa-e-qismat ek bhi leta nahin aane ka nam zulf-e-mushkin lala-rukh gul-pairahan mast-e-bahaar mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam ishq ki taswir ka ye dusra rukh hai 'waqar' shama jalti hai magar hota hai parwane ka nam