ek ishq hai ki jis ki gali ja raha hun main aur dil ki dhadkanon se bhi ghabra raha hun main kar dega wo muaf mere har gunah ko ye soch kar gunah kiye ja raha hun main chhoda kahin ka mujh ko na duniya ke dard ne phir bhi tera karam ki jiye ja raha hun main rah-e-wafa mein mit gae jab fasle sabhi phir kyun nigah-e-yar se sharma raha hun main phir ho rahi hain pyar ki sab hasraten jawan phir dil usi ki yaad se bahla raha hun main ek din chuka hi dunga zamane ka bhi hisab kuchh baat hai jo zabt kiye ja raha hun main ulfat ki rah par tujhe mil jaega khuda is be-qarar dil ko ye samjha raha hun main wo shokh ek nigah mein sab saf kah gaya muddat se jis ko kahne se katra raha hun main 'azim' yaqin nahin use kyun meri baat par kya kam hai ye ki us ki qasam kha raha hun main