kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsasat ke nam jitne bhi patthar aae sab aaina-e-jazbaat ke nam un ki nigahen be-parwa hain kuchh bhi nahin jazbaat ke nam waqf kiye hain jin logon ne din ke ujale raat ke nam tapte hue sahra mein jaise shabnam ki be-rang numud jaane kitne khat likkhe hain main ne bhi barsat ke nam waqt ke honton pe raqsan hain masti ka ek rag liye subh-e-qayamat ke hangame husn-e-maujudat ke nam mauj-e-sukun ke sath mile zanjir-e-alam be-tabi-e-dil hum ne kitni daulat pai ulfat ki saughat ke nam un ki tamanna meri koshish baham wade aur qasmen kuchh meri taqdir ke sadqe baqi sab haalat ke nam saji hui hai adab ki mahfil haal ke aise naghmon se be-maqsad be-kaif kitaben husn-e-takhliqat ke nam hasrat-o-arman bazm-e-tasawwur daman-e-sahra dast-e-junun khushiyon ke paigham hain 'khalid' gham ke hasin lamhat ke nam