ek jagah hun phir wahan ek yaad rah jaane ke baad kis qadar pani kisi dariya mein bah jaane ke baad ek jagah khud mujh ko apne sach pe shak sa pad gaya pur-yaqin kitna tha wo ek jhut kah jaane ke baad sham hai aur jaane wala din hai mere samne ranj mein hun mera sara kaam rah jaane ke baad hai yaqin mujh ko ki hai rahne ke qabil ye jahan han magar kitna khas o khashak bah jaane ke baad ek nai tamir ka sochunga phir pahle mujhe saf karni hai zamin ek shahr dhah jaane ke baad yun hua phir main ne us se kam talluq kar liya us ki koi baat ek mushkil se sah jaane ke baad khud se baaten kar ke koi bojh halka ho gaya kuchh sukun aa jae jaise zakhm bah jaane ke baad soch le 'shahin' use pana ki khona hai use ja chuka hai wo tujhe ek baat kah jaane ke baad