hon jo sare dast o pa hain khun main nahlae hue hum bhi hain ai dil bahaaran ki qasam khae hue khabt hai ai ham-nashin aql-e-harifan-e-bahaar hai khizan in ki inhen aaina dikhlae hue kya hai zikr-e-atish-o-ahan ki gaddaran-e-gul marte hain hath angaron pe ghabrae hue zindagi ki qadr sikhi shukriya tegh-e-sitam han hamein the kal talak jine se uktae hue sair-e-sahil kar chuke ai mauj-e-sahil sar na mar tujh se kya bahlenge tufanon ke bahlae hue hai yahi ek karobar-e-naghma-o-masti ki hum ya zamin par ya sar-e-aflak hain chhae hue saz uthaya jab to garmate phire zarron ke dil jam hath aaya to mahr o mah ke ham-sae hue dasht o dar banne ko hain 'majruh' maidan-e-bahaar aa rahi hai fasl-e-gul parcham ko lahrae hue