ek jalwa-e-mahtab hai tashhir mein shayad gum ho gaya hun apni hi tabir mein shayad uthta hai ajab dard-e-musalsal mere dil mein hai hath usi ka meri tamir mein shayad aate hain nazar khwab mein chand aur sitare ghar se hai nikalna meri taqdir mein shayad ab halqa bhi padta nahin jis ka kabhi dhila uljha hua hun ek usi zanjir mein shayad ab gosh-bar-awaz hue sare giran-kosh lazzat hui paida meri taqdir mein shayad hota hai dakan mein kabhi dilli kabhi jammun rahta hai 'farid' ab nahin kashmir mein shayad