har ghane sae ko benam-o-nishan karta hua waqt guzra khwab mere raegan karta hua kaun aata hai meri raaton ko karne mo'atabar kaun jata hai meri shamen dhuan karta hua us ne hanste khelte phandi hai diwar-e-yaqin main ki khud ko phir raha hun khush-guman karta hua kya bataun kis tarah pesh aai mujh se zindagi so na jaun main yahi qissa bayan karta hua meri basti se hai guzra ek lashkar is tarah dudh pite bachchon ko mashq-e-sinan karta hua sah raha hun der se la-samtiyat ka ek azab kat gaya apnon se khud ko aasman karta hua kho gae gadhe dhuen mein shahr ke manzar tamam ek parinda rah gaya aah-o-fughan karta hua kis ne rakkhi hai meri aankhon mein khwabon ki qatar kaun khwahish dil ki jata hai jawan karta hua