ek jalwa ek naghma ek paimana abhi zindagi ka ham-nashin mat chhed afsana abhi lazzat-e-sahba se hun saqi-e-begana abhi ho raha hai band kyun hasti ka mai-khana abhi hairat-e-jalwa meri aankhon ka parda ban gai hun sar-e-manzil magar manzil se begana abhi dekh to pi kar zara si aaj sahba-e-khudi dekh banta hai jahan ek aaina-khana abhi khul gaya gar mai-kashon par dard-e-sahba ka bharam gunj utthega nawa-e-gham se mai-khana abhi sun rahe hain qissa-e-adam azal se hum magar hai wahi kaifiyyat-e-aghaz-e-afsana abhi kasa-e-dil ko mujalla aur kar lun to chalun darkhur-e-husn-e-azal kab hai ye nazrana abhi gesu-e-kaunanin to minnat-kash-e-shana nahin han magar uljha hua hai zehn-e-farzana abhi jis qadar pita gaya main tishnagi badhti gai bas yahi thi aarzu aur ek paimana abhi sidq-e-dil se saqi-e-fitrat ko ek aawaz de dekh aata hai tere hathon mein paimana abhi fursat-e-nazzara kab hasil hui 'farhat' mujhe hun asir-e-kar-gah-e-husn-e-jaanana abhi