jo nekiyon se badi ka jawab deta hai khuda bhi us ko sila be-hisab deta hai usi ke hukm se ghar-bar ujad bhi jate hain wahi phir un ko basane ke khwab deta hai bashar pe qarz jo hote hain kar-ha-e-jahan tamam-umr wo un ka hisab deta hai gharaz ye hai na ho fikr-o-amal mein kotahi khuda dilon ko agar iztirab deta hai qusur is mein bhi hai waldain ka shayad jo bachcha un ko palat kar jawab deta hai kati hai umr azabon mein dekhna hai ab mazid kya dil-e-khana-kharab deta hai wo aazmata hai kanton se sabr insan ka phir us ke baad mahakte gulab deta hai sawal did-o-mulaqat kar chuke hain 'chand' ab aage dekhiye wo kya jawab deta hai