ek jhalak apni dikha kar chal diye hans raha tha main rula kar chal diye tha makan dil ka mere tarik tha sham-e-ulfat kyon jala kar chal diye kaise puri hogi un ko kya gharaz aarzu dil mein basa kar chal diye kya isi eazaz ke qabil tha main bazm mein mujh ko bitha kar chal diye un se ummid-e-wafa kuchh thi nahin haal-e-dil apna suna kar chal diye un ko matlab tha 'nadim' itne hi se apna diwana bana kar chal diye