dil lagaya aap se bekar hi

dil lagaya aap se bekar hi
hum hue aakhir zalil-o-khwar hi

wo raha mahfil mein naghma-bar hi
chal basa koi pas-e-diwar hi

main samajhta hun jise shabnam sifat
hai haqiqat mein wo shoala-bar hi

mushkilon mein ghair kuchh kaam aae hain
aur tamasha-bin rahe gham-khwar hi

apni nakaami ka hai afsos kab
bais-e-shohrat hui jab haar hi

shaikh sahab bhi nahin jo kar sake
kar gaya wo ek baada-khwar hi

hai tumhaare waste behtar 'nadim'
ku-e-jaanan se faraaz-e-dar hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close