ek jhonka yaad ka mujhko uDa kar le gaya

ek jhonka yaad ka mujh ko uda kar le gaya
rang chehre ke sabhi jaise chura kar le gaya

ye tasawwur hai tera jaise koi manjhi sanam
hath thama shahr tere ye bitha kar le gaya

main kisi tute hue se phul ki khushbu jise
koi aashiq us ki copy mein chhupa kar le gaya

fakhr ke aansu the us din man ki aankhon mein meri
jab main us ke pas us din kuchh kama kar le gaya

log rishton ko nibhate hain kuchh aise aaj-kal
dal se phal jab kabhi chaha jhuka kar le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close