ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein

ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein
kis ne mai nigahon ki dhaal di hai shishe mein

kaun ab tasalli de kaun mere kaam aae
jab hayat khud meri dhal gai hai shishe mein

gham-nigah kya jaane aansuon ke dhalne se
raushni tabassum mein dilkashi hai shishe mein

nuqrai tabassum mein kaifiyat hai naghmon ki
jhumte hain paimane naghmagi hai shishe mein

itne kyon pareshan ho saghar-e-shikasta se
zindagi ki ranai aaj bhi hai shishe mein

ahl-e-aql-o-danish ki baat ye agar sach hai
be-khudi hai baade mein aagahi hai shishe mein

baat ishq-o-masti ki main ne chhed di 'anwar'
sagaron mein sahba hai shaeri hai shishe mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close