ek kali mein poshida kul hayat rakh di hai

ek kali mein poshida kul hayat rakh di hai
titliyon ki aankhon mein kaenat rakh di hai

main ek aam si aurat meri aazmaish kya
mere samne la kar kyun furaat rakh di hai

us ke ek ishaare par dil ka faisla thahra
main ne jit haar apni jis ke hat rakh di hai

umr ghatti jati hai fasla nahin katta
tu ne meri rahon mein kaisi raat rakh di hai

main hun ek shishagar jis ne apne shishe mein
aks hi nahin rakkha puri zat rakh di hai

ab ise gila kahiye ya samjhiye apna-pan
baat baat mein hum ne apni baat rakh di hai

'zahra' hum to ab thahre dhadkanon ke saudagar
harf harf mein dil ki wardat rakh di hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close