ek kamre mein hon yakja main jawani aur tum sham-e-tanhai khuda ki mehrbani aur tum ab samajh mein aae fitrat ke maani aur tum jis tarah bahte hue chashme ka pani aur tum zindagi mein chaar chizen ras aai hain mujhe dil-lagi aawaragardi chhed-khani aur tum wo siyasat ki alamat tum mohabbat ki dalil donon mear-e-wafa hain rajdhani aur tum zehn ke nazuk darichon mein hai tabinda abhi chand yaaden chand taswiren purani aur tum