ek khalish si hai mujhe taqdir se al-aman us khar-e-daman-gir se hasrat-e-nazzara ki tasir se parda uttha yar ki taswir se sham-e-gham ke rone wale sabr kar subh bhi hogi teri taqdir se iddaa-e-zabt-e-gham karna pada tang aa kar aah-e-be-tasir se mujh ko diwana samajh len ahl-e-hosh kyun ulajhte hain meri zanjir se dil nahin ek aabla sine mein hai is nigah-e-garm ki tasir se hoti hai taskin 'farhat' kuchh na kuchh khush hun apni aah-e-be-tasir se