jo kuchh bhi hai nazar mein so wahm-e-numud hai aalam tamam ek tilism-e-wajud hai aaraish-e-numud se bazm-e-jumud hai meri jabin-e-shauq dalil-e-sujud hai hasti ka raaz kya hai gham-e-hast-o-bud hai aalam tamam dam-e-rusum-o-quyud hai aks-e-jamal-e-yar se wahm-e-numud hai warna wajud-e-khalq bhi khud be-wajud hai ab kushtagan-e-shauq ko kuchh bhi na chahiye farsh-e-zamin hai saya-e-charkh-e-kabud hai hangama-e-bahaar ki allah re shokhiyan zagh-o-zaghan ka shor bhi saut-o-surud hai