ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

ek khilauna tut jaega naya mil jaega
main nahin to koi tujh ko dusra mil jaega

bhagta hun har taraf aise hawa ke sath sath
jis tarah sach-much mujhe us ka pata mil jaega

kis tarah rokoge ashkon ko pas-e-diwar-e-chashm
ye to pani hai ise to rasta mil jaega

ek din to khatm hogi lafz o mani ki talash
ek din to mujh ko mera muddaa mil jaega

ek din to apne jhute khol ko todega wo
ek din to us ka darwaza khula mill jaega

ja raha hun is yaqin se us ke chhode ghar ki samt
jaise wo bahar gali mein jhankta mil jaega

chhod khali ghar ko aa bahar chalen ghar se 'adim'
kuchh nahin to koi chehra chand sa mil jaega

tez hoti ja rahi hain dhadkanen aise 'adim'
jaise agle mod par wo be-wafa mil jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close