ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya aise laga ki ek zamana guzar gaya sab ke liye buland rahe hath umr bhar apne liye duaon ka lamha guzar gaya koi hujum-e-dahr mein karta raha talash koi rah-e-hayat se tanha guzar gaya milna to khair us ko nasibon ki baat hai dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya dil yun kata hua hai kisi ki judai mein jaise kisi zamin se dariya guzar gaya is baat ka malal bahut hai mujhe 'adim' wo mere samne se akela guzar gaya hum dekhne ka dhang samajhte rahe 'adim' itne mein zindagi ka tamasha guzar gaya baqi bas ek nam-e-khuda rah gaya 'adim' sab kuchh baha ke waqt ka dariya guzar gaya