ek khudi be-khudi ke andar hai raaz khud raaz hi ke andar hai ek qayamat koi qayamat si zer-e-lab khamushi ke andar hai ek ek qatra girya-e-shabnam phul jaisi hansi ke andar hai hans pade hum to ro padin aankhen gham bhi shayad khushi ke andar hai din dhalega to raat aaegi tirgi raushni ke andar hai husn-araiyan baja lekin dilkashi sadgi ke andar hai nara-e-inqalab ai 'anwar' aaj bhi shairi ke andar hai