apne badan ki aag mein jalna pada mujhe phir ye hua ki rakh mein dhalna pada mujhe aasan itni hoti nahin rah ishq ki phulon ke sath kanton pe chalna pada mujhe suraj ghamon ka sar pe raha hai tamam umr aur qatre qatre roz pighalna pada mujhe main jaanta tha dukh bahut hoga mujhe magar us ki gali se ho ke nikalna pada mujhe kab tak main chhupta rahta bhala tirgi se 'qalb' phir misl-e-aftab nikalna pada mujhe