ek khula maidan tamasha-gah ke us par hai jis mein har raqqas ka ek aaina tayyar hai ret ke zariye hamari manzilen aur un ki hum pas yahan samt-e-safar ka jaanna be-kar hai raat aur tufan-e-abr-o-baad mere har taraf dur lau deti hui ek mashal-e-rukhsar hai phir kabhi utthe to mil lenge na itne dukh utha maut se hota hua ek rasta hamwar hai is tarah bab-e-nasihat khol kar baithe hain log jaise khair o shar ka duniya mein koi mear hai lahr wo aai ki hum hain aur nasheb-e-gumrahi gham ke aage band ab ke bandhna dushwar hai silsila aawaz ka dekho ki khoshe sarsarae phir khanak hai dhat ki phir sanp ki phunkar hai