koi aabaad manzil hum jo viran dekh lete hain ba-hasrat su-e-charkh-e-fitna-saman dekh lete hain nazar husn aashna thahri wo khalwat ho ki jalwat ho jab aankhen band kin taswir-e-jaanan dekh lete hain shab-e-wada hamesha se yahi mamul hai apna sahar tak rah-e-shokh-e-sust-paiman dekh lete hain khuda ne di hain jin raushan-dilon ko dur-bin nazren sawad-e-kufr mein wo nur-e-iman dekh lete hain dil-e-betab ka israr mane sharm-e-ruswai bacha kar sab ki nazren su-e-jaanan dekh lete hain wo khud sar se qadam tak dub jate hain pasine mein bhari mahfil mein jo un ko pashiman dekh lete hain tapak padte hain shabnam ki tarah be-ikhtiyar aansu chaman mein jab kabhi gul-ha-e-khandan dekh lete hain nigah-e-naz ki mastana ye nishtar-zani kaisi ba-waqt-e-fisd ragzan bhi rag-e-jaan dekh lete hain asiran-e-sitam ke pasbanon par hain takiden badalte hain jo pahra qufl-e-zindan dekh lete hain 'safi' rahte hain jaan o dil fida karne pe aamada magar us waqt jab insan ko insan dekh lete hain