ek KHushi ke liye hain kitne gham

ek khushi ke liye hain kitne gham
mubtala-e-sad-arzu hain hum

dil bhi lauh-o-qalam ka ham-sar hai
dastanen hain kitni dil pe raqam

azmat-e-raftagan hai nazron mein
apne mazi ko dhundte hain hum

para para hai khud junun lekin
fikr-e-insan isi se hai mohkam

bhigi bhigi hai har kiran un ki
hai sitaron ki aankh bhi pur-nam

yun na hoti sahar ki ruswai
kash khulta na raushni ka bharam

hum hain aur ehtiram-e-husn-e-wafa
wo hain aur ehtimam-e-mashq-e-sitam

kamtar us ko na kahiye 'yazdani'
aadmi khud hai jaan-e-do-alam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close