bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha hanste aansu talkh tabassum mitha ghussa kya nahin dekha chhalni sine raushan chehre khunin aankhen rangin daman thandi aahen viran nazren hashr-e-tamanna kya nahin dekha rah pe pahre nutq pe qadghan shauq ki yurish dil ki dhadkan bolti nazren bojhal palken ghamgin chehra kya nahin dekha soti qismat jagte insan ujdi basti sham-e-farozan jhute qisse ulti tohmat baat ka banna kya nahin dekha bikhri zulfen uljhi baaten aankh mein shokhi lab pe tabassum khalti kaliyan jhumti dali hashr sarapa kya nahin dekha bazm-e-charaghan jhuti khushiyan nakhwat-e-saqi tishna-dahani gardish-e-saghar aalam-e-masti tundi-e-saba kya nahin dekha phul si bahen larzan sina sans ulajhte bholi baaten nichi nazren pahli laghzish dil ka taqaza kya nahin dekha 'yawar' hum ko pa na sakoge jaise ab hain aise kab the dil ki nazakat jurm-e-mohabbat kufr-e-tamanna kya nahin dekha aaj bhi 'yawar' hanste hanste aankh mein aansu aa jate hain dard ki maujen khun ki lahren aag ka dariya kya nahin dekha