ek khwab chhan se tut ke aankhon mein gad gaya itna hanse ki chikh ke rona bhi pad gaya ye kis ne apni tis waraq par utar di ye kaun apne dil ko siyahi se jad gaya ab to khayal-e-yar se hota hai khauf sa chehra kisi ki yaad ka kitna bigad gaya lahron ka shor tham gaya tufan so gae kashti ke dubte hi samundar ujad gaya jab tak hamare nam se waqif hua jahan tab tak hamare nam ka patthar ukhad gaya kar to liya hai dard ki lahron ka samna lekin hamare zarf ka bakhiya udhad gaya us ko thahar ke dekhte hasrat hi rah gai wo dafatan mila tha achanak bichhad gaya