mere wajud se aati hai ek sada mujh ko ki mere jism se kar de koi juda mujh ko meri talash ka hasil faqat tahayyur hai main kho gaya hun kahan khud nahin pata mujh ko main apne jism ke andar simat ke baitha hun bula raha hai kahin dur se khuda mujh ko main tujh ko dekhun magar guftugu na kar paun khuda ke waste aisi na de saza mujh ko wo lahja ab bhi tasawwur mein gunjta hai 'asar' wo chehra ab bhi dikhata hai aaina mujh ko