ek khwab ka khayal hai duniya kahen jise hai is mein ek tilism tamanna kahen jise ek shakl hai tafannun-e-taba-e-jamal ki is se ziyaada kuchh nahin duniya kahen jise khamyaza hai karishma-parasti-e-dahr ka ahl-e-zamana aalam-e-uqba kahen jise ek ashk armida-e-zabt-e-gham-e-firaq mauj-e-hawa-e-shauq hai dariya kahen jise ba-wasf-e-zabt-e-raaz mohabbat hai aashkar uqda hai dil ka aqd-e-surayya kahen jise barham-zan-e-hijab hai khud-raftagi-e-husn ek shan-e-be-khudi hai zulekha kahen jise aks-e-safa-e-qalb ka jauhar hai aaina warafta-e-jamal khud-ara kahen jise ram-shewa hai sanam to hai ram-ashna ye dil hasil hai mujh ko aish muhayya kahen jise khuni kafan ye saint ke rakkha hai kis liye qatil wo hai ki rashk-e-masiha kahen jise sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud 'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise