ek tilism-e-ajab-numa hun main kya bataun tumhein ki kya hun main hai zawal apna ek nishan-e-kamal bado ki tarah ghat gaya hun main kya nishan puchhte ho tum mera rah-e-gum-gashta ka pata hun main hai ye hairat ki hun tajassum-e-dard aur har dard ki dawa hun main meri shohrat hai meri gumnami quwwat-e-bazu-e-huma hun main rah-e-ulfat mein naqsh-e-pa ki tarah khak ho ho ke mit gaya hun main saghar-e-ishq kar gaya be-khud hosh kis ko nahin hun ya hun main khak samjho tum aabru meri dard-e-eazaz ki baha hun main dam ghanimat hai saliko mera jaras-e-daur ki sada hun main hun surahi mein baada-e-ahmar aur mai-e-surkh mein nasha hun main jis tarah se kanwal ho pani mein ho ke duniya mein phir juda hun main khaksari hai meri jauhar-e-zat khak mein misl-e-kimiya hun main dur durj-e-wafa ki aab hun main dil ke aaine ki safa hun main aaj hai meri dhak aalam mein ru-shanas-e-shah-o-gada hun main dhum hai fann-e-sher mein meri qamar-e-ilm ki ziya hun main likhun gar dastan-e-ranj-o-alam dil-e-ba-shikasta ki sada hun main gar karun zikr-e-saz-e-aish-o-tarab tuti-e-khuld ki nawa hun main gar main likkhun bayan-e-arsa-e-razm nawak-e-tarkash qaza hun main ek is nazm par hai kya mauquf nur sham-e-ulum ka hun main qadr hai meri qadr-e-ilm-o-hunar kya zamane mein dusra hun main hun to sab kuchh pe kuchh nahin 'kaifi' surat-e-mauja-e-fana hun main