ek lamha thahar gaya mujh mein waqt jaise ki qaid tha mujh mein kitne ehsas bhar gaya mujh mein rakh gaya kaun aaina mujh mein kitne suraj nae ubhar aae aasman jab bikhar gaya mujh mein sare manzar mere ishaaron par bas gai hai teri ada mujh mein kaun sahra mein bas gaya aa kar ped ugne laga ghana mujh mein main kahan raat ka musafir tha chand khud aa ke bas gaya mujh mein ai hawa tez-gam mat chalna jal raha hai kahin diya mujh mein