kya khala aasman tha pahle kis ki surat pe dhyan tha pahle dil jo ab shor karta rahta hai kis qadar be-zaban tha pahle tu jise karwan samajhta hai us pe mera nishan tha pahle jis jagah raushni tapakti hai wan hawa ka guman tha pahle chup si kyun lag gai hai 'khullar' ko kitna jadu-bayan tha pahle