ek mah-ru se kal ki mulaqat bhi gai

ek mah-ru se kal ki mulaqat bhi gai
yun mere dil se garmi-e-jazbaat bhi gai

bagh-e-dil-e-hazin ko sarsabzgi ki chah
be-faiz ab ke bar ye barsat bhi gai

raqs-e-junun mein mahw the hum sham se magar
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai

saffak zehniyat ko mila jab se eqtidar
amn-o-sukun ki mulk se bohtat bhi gai

pine ke baad aql salamat na rah saki
is kashmakash mein izzat-e-sadat bhi gai

qabu karega kaun jaraem ko ab yahan
mulki adalaton se to haq baat bhi gai

ab kaun meri bhuk ko sufreh ata kare
hisse mein jo thi mere wo khairaat bhi gai

sirat ko kaun puchhe hai surat ke samne
chaukhat se ek gharib ki baraat bhi gai

'asad' zara sanbhaal ke khola karo zaban
pachhtaoge bahut hi agar baat bhi gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close