kaise ji paunga juda ho kar ja raha hai koi khafa ho kar dhundhta phir raha hai mujh sa tu kya mila tujh ko bewafa ho kar bhatke logon ko mil gai manzil main bichha jab se rasta ho kar ghir gaya yaad se bichhadte hi qaid mein ho gaya riha ho kar pattharon par ye kya asar karti laut aai meri sada ho kar saya-e-din ka ye sila dekho mil gaya hai sukun fana ho kar ham-safar jab se tu hua 'asad' ishq ubhra hai khush-numa ho kar