ek markaz pe simaT aai hai sari duniya

ek markaz pe simat aai hai sari duniya
hum tamasha hain tamashai hai sari duniya

jashn hoga kisi aaina-sifat ka shayad
sang hathon mein utha lai hai sari duniya

wo khuda to nahin lekin hai khuda ka banda
jis ki aawaz se tharrai hai sari duniya

wo bhi duniya ke liye chhod raha hai mujh ko
main ne jis ke liye thukrai hai sari duniya

kyun nigahon mein khatakta hai nizam-e-qudrat
kyun baghawat pe utar aai hai sari duniya

maut ko dost banana hi munasib hai 'bashar'
zindagi ki to tamannai hai sari duniya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close