faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete

faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete
siyasat-dan dilon ke zakhm bharne hi nahin dete

zamana wo bhi tha jab hadse ka dar satata tha
magar ab hadse logon ko darne hi nahin dete

kuchh hum ne khwab aise pal rakkhe hain ki jo hum ko
haqiqat ki zamin par panw rakhne hi nahin dete

ye mana ishq se banti hai jannat zindagi lekin
masail zindagi se ishq karne hi nahin dete

guzargahon ke aage manzilen aawaz deti hain
magar thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete

'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usul apne
kisi ke dil ki wadi mein utarne hi nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close