ek masarrat mere atraf ko anjaani de nutq ko lab se utha aankh ko hairani de hai tamanna ki chamakte rahen mehwar ke baghair hawas-e-kham na de ishq tu la-fani de naqsh to sare mukammal hain ab uljhan ye hai kis ko aabaad kare aur kise virani de dekh kar aae hain kuchh log wahan sabz lakir main use dekh sakun itni giran-jaani de ye to dekhen ki hai buniyaad mein kya kya mahfuz ghar banaya hai to ab warta-e-tughyani de aks-e-rukh kaisa yahan kuchh bhi nahin hai dil mein hum ko shadab na kar hausla tufani de samne tere hum is khak se sharminda na hon maut aasan ho ya rizq mein arzani de jaane kya kya nazar aata hai tamanna bar-kaf mere malik mujhe do roz ki sultani de hausla haar gai tishna-dahani 'haqqi' ab tu mashkiza utha aur mujhe pani de