dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya

dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya
pursish-e-ahwal-e-aqa kam-ayari aur kya

apne manzar se alag hota nahin hai koi rang
apni aankhon ke siwa baad-e-bahaari aur kya

hum bhi kuchh kahte pa us ki guftugu ka silsila
khatm hota hi nahin hai hoshiyari aur kya

sab utha kar le gain meri junun-samaniyan
ab sataegi hamein be-akhtyari aur kya

meri wahshat bhi sukun na-ashna meri tarah
mere qadmon se bandhi se zimmedari aur kya

us ziyan-khane mein milti hi nahin dad-e-firaq
zabt ka paigham degi sogwari aur kya

ji mein aa jae to hum bhi muskura kar dekh len
aankh phir pahron na kholen shahryari aur kya

'haqqi' bechaara aakhir thak-thaka kar so gaya
apne zakhmon ki wo karta parda-dari aur kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close