ek masum tamanna ki faza thi kal tak zindagi aisi kahan hosh-ruba thi kal tak ghaiz aandhi ka bana ab hai muqaddar mera dil ke aangan mein mahakti si saba thi kal tak naghmagi aa gai kis taur se us ke lab par jis ki aawaz tarannum se juda thi kal tak aaj khamosh bahut bazm-e-bahaaran kyun hai gungunate se libaade mein hawa thi kal tak husn ki shokh-nazar mange hai qimat apni jhukti aankhon ke dariche mein haya thi kal tak ye jo hangamon se marbut hai mahfil meri kaif-za dil-ruba bulbul ki sada thi kal tak sar-nigun waqt ke qadmon mein hai khwahish apni warna har sans mein ek mauj-e-ana thi kal tak ab kahan shauq ko milta hai badhawa 'jafar' narm palkon mein ghuli ek ada thi kal tak