mujh na-tawan pe hashr mein wahm-e-fughan ghalat main guftugu ki tab rakhun ye guman ghalat tum bhi wahi kaho to kahen sab baja durust main bhi wahi kahun to kahe ek jahan ghalat garmi se us ke husn ki kis ka jigar jala tashbih-e-mehr-o-ru-e-niku-e-butan ghalat kahiye asir-e-khwahish-e-sumbul koi hua deni misal-e-kakul-e-ambar-fishan ghalat sach hai ki aadmi ko gharaz aadmi se hai waiz bayan-e-dilkash-e-hur-e-jinan ghalat kah kar tamam 'salik'-e-gham-gin ka majra main ne kaha ghalat hai to bole ki han ghalat