ek miThi si kasak jag uThi hai man mein

ek mithi si kasak jag uthi hai man mein
yaad phir se mujhe ek khwab purana aaya

aaj main aahani diwar se takra jaun
aaj ek dost mujhe dene dilasa aaya

aap ne hum ko abhi thik se jaana kab hai
war ye aakhiri hoga agar ochha aaya

mana dushwar sahi phir bhi karen kya aakhir
tere ghar tak agar aaya yahi rasta aaya

tu to panw mein liye phirta hai manzil lekin
hum ko bas ek tera rasta takna aaya

'saima' khatm hue uzr talluq ke tamam
ajnabi ban ke wo derina shanasa aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close