Thik hua jo bik gae sainik muTThi bhar dinaron mein

thik hua jo bik gae sainik mutthi bhar dinaron mein
waise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaron mein

sard nason mein chalte chalte garm lahu jab barf hua
chaar padosi jism utha kar jhonk aae angaron mein

kheton ko mutthi mein bharna ab tak sikh nahin paya
yun to mera jiwan bita samanti ayyaron mein

kaise us ke chaal-chalan mein angrezi andaz na ho
aakhir us ne sansen lin hain pachchhim ke darbaron mein

nazdiki akasr duri ka karan bhi ban jati hai
soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daron mein

chand agar pura chamke to us ke dagh khatakte hain
ek na ek burai tai hai sare izzat-daron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close