ek muddat se bahut chikh raha hai mujh mein dard-e-furqat ka koi mara hua hai mujh mein kaise kah dun ki nahin khana-e-dil mein koi roz-e-awwal se makin mera khuda hai mujh mein koi pur-shor bayaban ki sada hai mujh mein main talluq ko nibhane ka hunar jaanta hun phir bhi rutha hua hamraaz mera hai mujh mein kaise main haal-e-dil-e-zar bataun sab ko ek ajab tarah ka tufan bapa hai mujh mein